Pages

Saturday, May 1, 2010

mai aaj bhi ek band makan hoon

main aaj bhi ek band makan hoon


dil ke khali kamron mein

tumhari yadon ke siway kuch nahi

aaj nayi baten armanon ke darwaje par dastak deti hain

par usse mera koi sarokar nahi

aisa nahi ki mujhe teri tadaf nahi teri chahat nahi

par tumhari yadon ke siway mera koi yar nahi

ye sochkar dil ke khali kamron mein koi mej sajayi nahi

ki khuda vahan na aa jaye kahin

kaise bataon tujhe ki is dil mein teri jagh

bhagvaan se kam nahi.

No comments: