Tuesday, April 27, 2010
ek ajnabi zindgi mai aaya
EK AJNABI ZINDGI ME AYA AUR MUJHE APNAPAN JATA KAR CHALA GAYA.... KUCH DIN SAATH RAHA AUR MUJHE KHUD KI ADAT LAGA KAR CHALA GAYA... JANE KYU VO WAKT BAR-BAR YAAD AATA HE,JAB VO MERA SATHI HUVA KARTA THA... JANE KYU MAIN BHI USSE MILNE KE LIYE DIN-RAAT BAICHEN RAHA KARTA THA.... ek samaya woh tha jab main uske karibh huva karta tha..... uski zindgi ki har khushi aur gum main sarikh huva karta tha...... agar kabhi zindgi use kuch gum diya karti thi.... to main khudh ko dardh diya karta tha..... aj bhi jab vo suhana vakt yaad aata hai..... dil ki pareshaniyo ko mita jata hai.... vo shaksh humain yaad karta hain yaa nahi........ ye to hum kaih nahi sakte, likin vo zarur humain, aksar tanhiyo main yaad aa jata hain.......... ab use yaad karne ke siva aur kar bhi kya sakta hoo.... is zindgi se pareshan ho kar mar bhi kaha sakta hoo....... ab to in tanhaiyo ko hi apna humsafar banana hai...... aur huste-huste is viran zindgi ko kaat zana hai....... ajj bhi usi modh par roz unka intazar karta hoo..... jaha par kabhi hum ek-duje ko mila karte the.. ajj bhi main aksar us jagaha par tanha baitha rehata hoo... jaha kabhi hum dono ek-duje ke liye intezar kiya karte the... zindgi apni raftar se chal rahi hai,roz naye rang badal rahi hai...... dekhta ho aane vale samaye me main kya hasil kar pata hoo.... thoda khush hota hoo....,yaa aise hi dukhi reha jata hoo...
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment